diwali pyari aayi hai , diwali nyari aayi hai !
budhe-bachche ,noujwan , ho kamgar ya ho kisan !
sab masti me hai jhum rahe , patakho se gunja gali makan !
chakri anar ghum rahe , bachche harshit ho jhoom rahe !
budhon ki lagi sabha dekho,noujwan hai ghoom rahe !
hai ghar-ghar me deepon ki katar ,saji dukane aur bazar !
deepon ka pavan ye tyohar laye jevan me khushiya apar !
desh ki raxa k khatir nit, fouji bhai hai taiyar !
seema hi unka hai gharbar,wahi manate ye tyohar !
patni rah nihar rahi ., pati ke aane ka intzar !
maa-bap ke birle bete woh, jinpe desh raxa ka hai bhar !
tum jalate ho yaro,gar prem deep se ho tyohar !
jan-jan ki peeda har lete ,bas jaye khushiyo ka sansar !
tum dukhi kisi ko na dekho , karte raho paropkar !
laxmi ganesh riddhi-siddhi ,karen tumhe imandar !
jeevan me patakhe futenge ,rakho tum sada uchch vichar!
manzil mil jayegi yaron , ho roz diwali ka tyohar !
mai to 1 kavi yaro , kavita likhna mera sansar !
shabd mere laxmi ganesh hai ,pathak -gan hai nidhi apar !
"ASHUTOSH " ki in baton ka ,gar jeevan me rakhoge akhtiyar !
tum desh ki unnati kar doge , fir dekho diwali ka tyohar !