1- Nav varsh aaya nav umango k sath !
Khili hai kaliyan khile man udas !
Inhi bavnao k sath ,
ki juda na rehe hum hai sath !
2- khil uthi kushum kali ,
bahaar fija me chha gaya !
naye khwab liye,
naya saal aa gaya !
3- de gaya suhani yaden o ,
jo waqt kabhi na aayega !
beeta saal yadon me rehe ,
naya saal nayi khusiyan layega !
4- judayi or Milan toh ,
zindgi ka ek silsila hai !
purana agar beet gaya ,
naya saal toh mila hai !
5- aayi navjeevan kaliyon pe ,
bhouron ka dal gunzar utha !
naya saal nav khusiya laya ,
man mandir yun jhankar utha !
6- purana beeta toh naya saal aaya,
mere dost tu mujhe yad aaya !
so maine ye wish pahuchaya ,
mubarak ho naya saal aaya !
7- mai tumhe yad karna na chhor paya .
dil se bhulana chaha na bhool paya !
fir kaise bhool sakte hai aapko wish karna ,
happy new year jo hai aaya !
8- badhaayi humari aap tak pahuche ,
aap khusiyon me rahe gam na pahuche !
mubarak ho aapko naya saal ,
dil se bheja paigam jo aap tak pahuche !
9- kalam se likha ye paigam ,
jo bheja aapke naam !
naya saal mangalmay ho,
aapko mera salaam !
10- khusi ko chhipa lena par gam ko nahi ,
sabko bhula dena par humko nahi !
maine aapko new year wish kiya ,
aaapke reply ke wait me nahi !
