written by me-
DOSTI
1-hum doston ko apne dilon me basate hai!
Yadon me hamesha dost hi aate hai !
Dosti pe to vishwas u hi rakhenge !
Dekhenge ki aap kitna wada nibhate hai !
2- kya khoob sila di hai yaron !
apna kehkar thukrate ho!
Jab yaad humari aati nahi !
To yadon me kyo aate ho?
3- chalo ek baar fir se hasna hua !
khusiyon me yun hi fasna hua !
par ye to chand lamha tha yaron !
aankh khuli to laga sapna hua !
4- mujhe apne gamo me rehne diya hota !
mere ashko ko aakhon behne diya hota !
na hi aapki khusi kam karta mai !
na apne gum ko batne diya hota !
5- apne se achchhe gair hue !
jo gair sada kehlate hai !
apne to apna kehlakar kyo !
gair yun hi ban jate hai !
6-hum dost hai woh jo dosti nibhate hai !
har pal sataate hai har pal rulate hai !
kisi ko hasana to bas ki baat nahi !
rone walon ko apni dosti me bulate hai !
7-jab yaad humari aayegi !
to aankhe v nam ho jayengi !
mere nagme padh lena tum !
jo shayad tumhe hasayengi !
Wednesday, November 4, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)
