MERA PYARA BACHPAN ----- <>
O ma ka aanchal, vo pyar bhari lori!
Dadi ka pyar aur, dudh bhari katori!
O dosto ka sath, padisiyo ki dat!
O mele ki raat aur , thele ki chaat! – swapan ho gaye o pyare din---
O school me jana ,aur mouj manana!
O aam ki chhaon, aur kagaj ki nav!
Bado ka ashirwad, chhoton ka pyar!
Bachpan ki sararat aur nakhre hajar! swapan ho gaye o pyare din---
School se aana ki fir nahi padhna,sararet me sabse aage rehna!
Mar-peet kerne ko taiyar rehna,daant aur nakhun ka hathiyar hona! swapan ho gaye o pyare din---
Dady ki sunna, mammi ko gunna!
Chhoton ko dhunna, sararat ko chunna!
Bado ki sunna per apne mun ki kerna!
Khud ko sabse ,pyare v bane rehna! swapan ho gaye o pyare din---
Ghar per roj sikayat aana ,bado ki dat to roj roj khana!
Jor ki bhukh ka ker k bahana, school se jaldi ghar bhag aana! swapan ho gaye o pyare din---
Baag me jana nadi me nehana!
Aam aur jamun ko tod-2 khana!
Lout k aana to fir so jana, sokar uthna to sone walo ko jagana ! swapan ho gaye o pyare din---
Diwali aur Vijaydashmi per chande jutana!
Holika k liye lakadi churana!
Raxabandhan per behna se rakhi badhwana,!
Mithayi aur pekwan bar -2 khana! swapan ho gaye o pyare din---
Bal - bat se cricket khelna, khali samay me chess v jhelna!
Gilli –danda , kancha to part time khel tha!
Per padhai me fail tha! swapan ho gaye o pyare din---
O bachpan k din kash! Kitne pyare the!
Jindagi me o din bahut nyare the!
Ab to yade hi sahara hai, bachpan to sabne gujara hai!
Ek dua prabhu! Se hai” ASHUTOSH” ki!
Budhape me har santan MAA –BAP ka sahara hai!