“ KABHI “
kabhi yaron ki thi mehfil , kabhi man bhi nahi apna !
kabhi ummeed lakhon thi ,kabhi to gam ka hai sapna !
kabhi rishto ki rahen thi , kabhi ye man yun tha tanha !
kabhi bouchhar barish ki ,kabhi to dhoop me chalna !
kabhi koi ajanbi tha , kabhi koi bana apna ,
kabhi koi jo apna tha , kabhi woh ho gaya sapna !
kabhi tha khusnuma mousham, kabhi tha mout sa aalam !
kabhi kante bhari rahen , kabhi bahraho sa tha mousam !
kabhi andheron me ujaala tha ,kabhi andhere me hi tha rehna !
kabhi thi gam bhari raten ,kabhi tha mehfil-e- hardam !
kabhi ek junun tha apna , kabhi o reh gaya jajba !
kabhi “ASHU” bhi tha tera,kabhi to woh v hai tanha !

viyogi hoga pahla kavi aah se upja hoga gyan. nikalkar nayano se chupchap bahi hogi kavita anjan apki rachnaye padi kya khoob likhi hai.continue .soach hai jajbat hai virah/biyog hai acchha likhege.my best wishes.rajendra
ReplyDelete