Wednesday, September 23, 2009


“ KABHI “

kabhi yaron ki thi mehfil , kabhi man bhi nahi apna !

kabhi ummeed lakhon thi ,kabhi to gam ka hai sapna !

kabhi rishto ki rahen thi , kabhi ye man yun tha tanha !

kabhi bouchhar barish ki ,kabhi to dhoop me chalna !

kabhi koi ajanbi tha , kabhi koi bana apna ,

kabhi koi jo apna tha , kabhi woh ho gaya sapna !

kabhi tha khusnuma mousham, kabhi tha mout sa aalam !

kabhi kante bhari rahen , kabhi bahraho sa tha mousam !

kabhi andheron me ujaala tha ,kabhi andhere me hi tha rehna !

kabhi thi gam bhari raten ,kabhi tha mehfil-e- hardam !

kabhi ek junun tha apna , kabhi o reh gaya jajba !

kabhi “ASHU” bhi tha tera,kabhi to woh v hai tanha !

1 comment:

  1. viyogi hoga pahla kavi aah se upja hoga gyan. nikalkar nayano se chupchap bahi hogi kavita anjan apki rachnaye padi kya khoob likhi hai.continue .soach hai jajbat hai virah/biyog hai acchha likhege.my best wishes.rajendra

    ReplyDelete